Sufi shayari

Kahan se laun hunar use manane ka,
koi jawab nahi tha uske rooth jane ka,
mohabbat mein saza mujhe hi milni thi,
kyuki jurm maine kiya us se dil lagane ka


Deewana hun tera mujhe inkaar nahi,
kaise keh dun ki mujhe tumse pyar nahi,
kuch shararat to teri nazro mein bhi thi,
main akela hi to iska gunehgar nahi



Main alfaz hun teri har baat samajhta hun,
main ehsaas hun tere jazbaat samajhta hun,
kab pucha maine ki kyun door ho mujse,
main dil rakhta hun tere halaat samajhta hun



           Sufi shayari in hindi

 

Teri aarzoo mera khwab hai,
jiska raasta bahut kharab hai,
mere zakhm ka andaza na laga,
dil ka haar panna dard ki kitaab hai



Unki yaadon ko humne sufiyana rakha,
apne dil mein unka aashiyana rakha,
jitni bar humne unse milne ki koshish ki,
usne har baar ek naya bahana rakha. 
 
 



#shayari 

Post a Comment

0 Comments